Android Mobile ko root karana kya hai? Iske kaya faide hai our kaya nuksan hai.

Kaya aap android phone rooting ke bare me jante ho agar nahi jante to mai aaj aap ke liye ye post likh raha hu jise padkar aap asani se  apne phone ko root kar sakte ho or android phone ko root karne ke faide or nuksan ke bare me jaan  sakte ho.
To chaliye sabse phale ye jante ha ki android phone ko root karna kaya ha?

 computergayan.blogspot.in

Android phone me rooting kaya hoti hai?


Root ka hindi me matlab jad  hot hai isi parkar android phone ko root karne ka matlab phone ki jad tak pahuchna hai. yani ki android phone ko root karke aap usme manchahe badlaw kar sakte ho. root ke dwara aap apne phone me phale se installed aap ko uninstall kar sakte ho root ke dawara aap apne phone ki  ui (user interface)  ko change kar sakte ho.
Kisi bhi phone ko root karne se phale aap ko phone rooting ke sabhi faide or nuksan ka gayan hona bhout jaruri ha.
To chaliye jante ha ki android phone ko root karne ke kaya faide or kaya nuksan ha.

Android phone ko root karne ke faide.


1.    phone ko root karke ham asi applications ko bhi uninstall kar sakte ha jo hamre phone ke sath me aati ha or jinme uninstall ka koi option nahi hota hai.
2.    phone jab kisi company me banta hai to phone ko banane vali company phone me appni company ke  registered  software dalti ha ase software ko hum access nahi kar sakte lekin root karne ke baad hum apne phone ko apne hisab se access kar sakate hai.
3.    Android id, model no. etc. change kar sakate hai.
4.    Root karne ke baad me ham apne phone me un sabhi applactions ko bhi install kar sakte hai jin applactions ko hamara phone without root ke permission nahi deta hai.


Android phone ko root karne ke nukshan.



1.    Android phone ko root karne par phone ki warranty khatm ho jati hai.
2.    phone ko root karte samay sabhi instruction ko follow karna hota hai nahi toh aapka phone dead ho saakta ha .
3.    Android phone ka koi bhi latest version aapko phone ki company dwara nahi milta .aapko custom os mil sakta hai. jisko aap apne phone me install kar saakte hai. parantu rooted phone me aapko wallet se related koi bhi app nahi milega.
4.    phone ko root karne par phone ka data  lost ho sakta ha isiliye  root karne se pahale apne phone ka backup le lijiye.

 Agar aap phone ko root karne ke paide or nuksan jan chuke ho or aap apne phone ko root karna chahate ho to chaliye jante hai ki  Android phone ko root kaise karte hai.





Hello Dosto Mera Name Kuldeep Kaswan Hai. Is Blog Me Mai Computer, Internet, And Blogging se Related Jankari Share Karta Hun. Maine Apne Blog Me 100% Working va Helpful Tips Share Karta Hu, App Sabhi Support Karte Rhana Maine Is Blog Me Aise Hi Important Post Likhta Rahun Ga.


EmoticonEmoticon